Urdu Shayari - Sad Shayari - Love Shayari and so on

Urdu Shayari - Sad Shayari - Love Shayari

Shayri Love Shayari Funny Shayari Birthday Shayari Shero Shayari Friendship Shayari Sad Shayari Hindi Shayari SMS Shayari.

Sunday, July 13, 2008

Dekho To Sahi

Kitne din beet gaye hain dekho to sahi
Kitne chirag bujh gaye hain dekho to sahi
Mausam bahar ka phir tanha guzar gaya
Khizaan ek bar phir agayee hai dekho to sahi
Kitni chahat se likhta tha main naam tumhara
Wo qalam hi tod di hai zara dekho to sahi
Itni asaani se to milti nahi nafrat bhi lekin
Tumne hasil shuda pyar thukra diya dekho to sahi
Haanton me tum ne apne chhupaye the moti bohat
Ab ke zabt tutne se sailab ravan hai dekho to sahi
Aana rokti hai mujhe har bar jhukne se magar
Kitni bar tumne jhukaya hai dekho to sahi
Faqeer ban kar tere kuche me akar
Kitni aas se dekhte hain tumhein dekho to sahi

AIK CHARAGH

AIK CHARAGH JALA RAKHNA,DHIYAN MUSAFIR KA RAKHNA!
AIK HATAILI PAR QANDEEL,AIK PAR HARF-E-DUA RAKHNA!!
CHUTKI BHAR SANDAL SA KHUWAB,THALI BHAR ASHA RAKHNA!
SEENAY MAIN ANSOU SA DIL,ANKHON MAIN DARIYA RAKHNA!
DHIYAN KAY UJLAY TAQO'N MAI'N,ANKHAIN ROZ JALA RAKHNA!
NAIK SHAGOUN KI CHOKHAT PAR,AAG AUR KHUSBOU LA RAKHNA!

Tuesday, July 8, 2008

CHUP REHTE HAIN

CHUP REHTE HAIN, KAHIN KOI KHAFA NA HO JAAYE
HUMSE KAHIN KOI RUSWA NA HO JAAYE
BADI MUSHKIL SE KOI APNA BANA HAI
MILNE SE PAHLE HI KAHIN JUDAA NA HO JAYE

WAQT AUR HALAAT

WAQT BADALTA HAI HALAAT BADAL JATE HAIN
YE SAB DEKH KAR ZAZBAAT BADAL JATE HAIN
YE KUCH NAHI BAS WAQT KA TAQAZA HAI DOSTO
KABHI HUM TO KABHI AAP BADAL JATE HAIN.

Phoolon Ne Kaha

Phoolon ne kaha zindagi khushbo ka naam hai
Khushboo ne kaha zindagi mehaq ka naam hai
Mehaq ne kaha zindagi khushion ka naam hai
Khushi ne kaha zindagi muskurahat ka naam hai
Muskurahat ne kaha zindagi tanhai ka naam hai
Tanhai ne kaha zindagi akelepan ka naam hain
Akelepan ne kaha zindagi ansoon ka naam hai
ansoon ne kaha zindagi afsane ka naam hai
Padai ne kaha zindagi padne ka naam hai
Teacher ne kaha zindagi khelne ka naam hai
Tum ne kaha zindagi hasil ka naam hai
Chand ne kaha zindagi chandni ka naam hai
suraj ne kaha zindagi ujale ka naam hai
zindagi ne kaha zindagi mout ka naam hai
Maine kaha zindagi mohabbat ka naam hai

Monday, July 7, 2008

Kahin Diya Jalta Hai

Kahin Diya Jalta Hai Yaroon
Kahin Insaan Roshni Ko Tarasta Hai

Yahi Zindagi Ki Ek Jad-O-Jehad Hai
K Insaan Pal May Jeta Hai Or Pal May Marta Hai

Zindagi

Dekha Hai Hum Neh Zindgi Main Azma K
Dete Hai Yaar Dokha Dil K Kareeb Aa K

ZIndagi Zinda Dili Ka Nam He

Hum Ne Wada Kya Tha Khud Se Tum Ko Bhool Jane Ka
Nahi Tha Hossla Zindagi Ko Azmane Ka

Mager Jeena Para Apno K Liye
Kyun K Zindagi Naam Hai Har Dekh Sukh Utane Ka

Wednesday, July 2, 2008

Jee Bhar Ke Roye

Jee bhar ke roye to karar paaya
is daur me kisne saacha dost paaya
guzar rahi hai zindagi imtihano ke daur me
ek zakham bhara nahi ke dausra tayaar paaya

Bewfai

ARE LOG KEHATE HAI BAJA, WO TO MAI BHI BAJA SAKTA THA MAGAR MERI SAJ BEWAFA NIKLI, GANA ARE GANA KYA HAI WO TO MAI BHI GA SAKTA THA MAGAR MERI AWAJ BEWAFA NIKLI, ARE WO TAJ MAHAL KYA HAI WO TO MAI BHI BANWA SAKTA THA MAGAR MERI MUMTAJ HI BEWAFA NIKLI

BHOOL NA JANA

hum ko bhool na jana tum
yeh kehte hain sab hi
lekin aata hai waqt kuchh aisa
ke bhool jaate hain khud hi

Dil Milaakar

Dil milaakar kyaa mila
Judaai ka zehar piya
Judaa hokar mujhse
tadapte ho tum bhi
mere piyaa

Pyaase Ko

Pyase Ko Ek Katra Pani Kafi Hai
Ishq Me Chaar Pal Ki Zindagi Kafi Hai
Dubne Ko Samandar Me Jaye Kaha
Aapki Aankhon Se Tapka Vo Pani Kafi Hai

Tuesday, July 1, 2008

Na Bite Din Na Gujari Raat

Na Bite Din Na Gujari Raat
Ye Kaisa Hai Lamha Saath
Jab Aaye Yaad Huyi Barsat
Kahin Doob Gaya Apna Pyar

Aate Ho Tufa me Baste Ho Tanha Me
Dil Dhundhe Tum Ko Sapno Me
Ise Tod Diya Kise Apno Ne
Na Bite Din Na Gujari Raat
Ye Kaisa Hai Lamha Saath

Dil To Hai Deewana
Hai Kya Is Ko Samjhana
Bhulega Ye Apna Naam
Bas Yaad Rahe Kal Ki Shaam
Na Bite Din Na Gujari Raat
Ye Kaisa Hai Lamha Saath

Dekha Hamne Sapna
Samjha Sab ko Apna
Ab Puch Raha Hai Veerana
Kya Paaya Ban Ke Deewana
Na Bite Din Na Gujari Raat
Ye Kaisa Hai Lamha Saath
Jab Aaye Yaad Huyi Barsat
Kahin Doob Gaya Apna Pyar

Karoge Fariyaad

Kroge fariyad guzre zamane ko
tarsoge hamara saath ek pal bitane ko
phir awaaz doge hamein aane ko
hum kahenge darwaja nahin hai kabar se bahar aane ko

Kabhi Usse Bhi

Kabhi usse bhi meri yaad satati hogi
Apni aankhon mein mere khawaab sajati hogi
Wo jo har waqt khayaalon mein basi rehti hai
Kabhi to meri bhi socho mein kho jaati hogi
Wo jiski raah mein palkein bichhi rehti hai
Kabhi mujhe bhi apne paas bulati hogi
Labon par rehti hai wo har pal hansi bankar
Tasawar se mere, wo bhi muskuraati hogi
Wo jo shaamil hai mere geet mere naghmo mein
Kabhi tanhai mein mujhko gun gunaati hogi
Jiske liye mera dil beqaraar rahta hai
Mere liye apna chain bhi gawanti hogi
Jisse izhaar-e-wafa har pal karna chahoon
Kabhi iqraar to wo bhi karna chahti hogi
Jiske liye meri har raat hai karwat karwat
Kabhi to use bhi neend na aati hogi
Jiski ulfat ki shama se hai mera dil roshan
Meri chahat ke wo bhi deep jalati hogi
Ghame-e-firaaq mera hi muqadar hai ya phir
Meri judaai use bhi yuhi rulati hogi

Dard

kyu rakhu ab apni kalam me sayahi
jab arman koi dil me machalta hi nahi
na jane kyu sabhi shaq karte hai mujhpe
jab koi sukha phul meri kitab me milta hi nahi
kashish to bahut thi mere pyar me magar kya karu koi pathar dil pighalta hi nahi
agar khuda mila to usse apna yaar mangunga
magar suna hai wo kisi se milta hi nahi

Saath Nibhana Nahin Aata

Na jaane kyun hamein aansu bahana nahi aata
na jane kyun hale-e-dil batana nahi aata
kyun saathi bichhad jate hain hamse
shayad hamein hi saath nibhana nahi aata


>

Developed by: Mohammad Furqan