Friendship shayari
Anjana
Dosti ki hai tum se
toh phir se jeene ki Tammanna jaag uthi hai
seh rahe the najane kitne ghamo sitam
un sab ko bhulane ki baat aa chuki hai
jaagi hai ye aankhe najane kitne arse se
ab Aaram se soone ki Raatein aa chuki hai
Dost Apni Ruh Ko Banao
Main ye nahi kehta ki dost mat banao
Par apni us dosti mein khud ko naa bhul jao
Mil jayega dhoka jaane kis raah pe
Isliye ae dost, dost apni ruh ko banao
Bhhegi Aankhon Se Muskurane Me Maza Aur Hai
Bheegi aankhon se muskurane me mazaa aur hai
hanste hanste palkein bhigaane me mazaa aur hai
baat kehke to koi bhi samajh leta hai
par khamoshi koi samjhe to mazaa aur hai
Hum Apni Dosti Ko
Hum apni Dosti ko yaado me sajayenge
Door rehkar bhi band ankho me nazar ayenge
Hum koi waqt nahi jo beet jaayenge
Jab yaad karoge tab chale aayenge
Ummid Aisi Ho
Ummid aisi ho jo jeene ko majboor kare
raah aisi ho jo chanle ko majboor kare
Mehak kam na ho kabhi apni dosti ki
dosti aisi ho jo milne ko majboor kare
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home