Urdu Shayari - Sad Shayari - Love Shayari and so on

Urdu Shayari - Sad Shayari - Love Shayari

Shayri Love Shayari Funny Shayari Birthday Shayari Shero Shayari Friendship Shayari Sad Shayari Hindi Shayari SMS Shayari.

Monday, December 5, 2011

Juda Rehne Ki Baat

Apno Ke Beech Zindagi Aise Jiya Nahi Karte
Akele Rehkar Apno Ko Tadpaya Nahi Karte
Jo Thama Hai Haath Pyar Se Kisi Ne Aapka
Usse Juda Rehne Ki Baat Kiya Nahi Karte

Kitabo Ke Panno Me

kitabo ke panno me baar baar aa jate ho
dur ho mujh se phir bhi yaadon me reh jate ho
bhulane ko kehte ho to mumkin nahi
kyun ki tum jaha bhi jate ho apna dil chhod aate ho

Palkein Uthakar Dekho

Palkein uthakar to dekho
sharmana bhul jaoge
baat karke to dekho
chup rehna bhul jaoge
hamse pyar karke to dekho khuda kasam
kisi aur se dil lagana hi bhul jaoge

Unke Pyar Se

Unko dekh kar palko ko khilna aa gaya
Unko soch kar dil ko machalna aa gaya
Unke ehsaas se dil ko muskana aa gaya
Aur unke pyar se hume jeene ka bahana aa gaya

Dil Na Todo Meri Jaan

Dil na todo meri jaan chahe jaan le lo
Pyar ka humse aap chahe bayan le lo
Likh diya hai aapka naam humne kore kagaz pe
Aur aap ho meri jaan humne keh diya apni kismat se

Yaad Teri

Yaad karenge to din se raat ho jayegi
aaine me dekho khud ko to hum se baat ho jayegi
shikwa na karo hum se na milne ka
aankhe band to karo mulakath ho jayegi

Dil Ki Kitaab

dil ki kitaab kuch is tarah banaai hai
har panne par aapki yaad samai hai
kahi phat na jaye ek bhi panna
isliye har panne par pyaar ki lamination karai hai

Andaz Purana Hoga

Ham na badlege waqt ki raftaar ke sath
Ham jab bhi milenge andaz purana hoga

Unki Dil Mein Jagah

Unko dil mein humne jagah di hai
Unke liye dil ne ek fariyaad ki hai
Unki khushiyon ko lag jaye humari bhi umar
Kyuki unki muskan se hi hoti hai humari har sehar

Deewano Suno

koi deewana kehta hai
koi pagal samajhta hai
magar dharti ki bechaini
ko bas badal samajhta hai
main tujhse door kaise hu
tu mujse dur kaise hai
ye tera dil samajhta hai
ya mera dil samajhta hai

Aapse Badkar Koi Nahi

Kitna Pyar kare aapse, ki ye dil mil jaaye
Kaise Izhar kare aapse, ki ye dil aapko chahe
Kitni Maanat kare dil, kitni kare dil pooja
Aapse Badkar dil ke liye, nahi hai aur koi dooja

Dil Ki Kya Hai Galti

Hoonth kya kahe jab dil ko aapki yaad aaye
Saanse kaise chale jab aapki yaad sataye
Nazarein har pal dhunde aapko par aap nahi milti
Aapse hai itna pyar dil ko isme apni kya hai galti

Pyar Ke Haalaat

Woh dikhti hai har din par hoti nahi hai mulakaat
Unko chahe jitna bhi par badalte nahi hai haalaat
Dil dhadke hai aur badhne lage hai jazbaat
Aur pyar ke badal dikhe hai par ho nahi rahi hai barsaat

Woh Sabse Hasin

Sagar ke moti se bhi woh anmol hai
Sitaro ki timtimahat se bhi woh hasin hai
Mausam mein nikhar unke deedar se aata hai
Aur is dil mein pyar unke intezar se chhata hai

Aansu Gir Pade

Unhone dekha aur aansu gir pade
bhari barsaat me jaise phul bhikar pade
dukh vo nahi ki unhone hume alvida kaha
dukh tho ye hai ki uske baad vo khud ro pade

Us Ajnabi

Us ajnabi ka yun na intezaar karo
Is aashiq dil ka na aitbaar karo
Roz nikla karen kisi ki yaad mein aansu
Itna kabhi na kisi se pyaar karo

Yeh Dekha

eh dekha hamne khud par aajma kar
Dhokha dete hain log khud kareeb aa kar
Kehti hai duniya par yeh dil nahi manta
Ke chhod jaoge tum bhi ik din apna banakar

Vishwaas

Mere dil mein tu
mere khayaalon mein tu
phir kaise kahun ki paas nahi
Wafaon par apni hai mujhe ab bhi yakin
phir kaise kahun ki aas nahi

Tanhai

Teri yaad, tassavur tera
tanhaayion me hai saath mere
na hoti ye tanhaayian
jo gar tum hote saath mere

Unki Tasveer Ko Seene Se Laga Lete Hain

Unki tasveer ko seene se laga lete hain
Iss tarah judai ka gham mitaa lete hain
Kisi tarah zikar ho jaye meri zeenath ka
To hanss kar bheegi palkein jhuka lete hain

Yeh Sharaab

Yeh sharaab yeh jaam hum hosh gawaa baithe
yeh husan yeh adaa ab hosh me aayein kaise

Mera Dil Jis Par Fida Hai

Mera dil jis par fida hai
wohi yaar mujhse juda hai
main nahin kehta tanha hoon
mere saath mera Khuda hai
main kyun na usay pyar karoon
wo jo mere dil ki sdaa hai
us se bichhad kar lagta hai
jaise yeh jeevan koi saza hai
wo jahan bhi rahe khush rahe
mere dil ki yahi dua hai


>

Developed by: Mohammad Furqan