Nature shayari
Jisse Pane Ko Duniya Tarsti Hain
jiske paas kuch nahi uspe duniya hasti hain ,
jiske pas sab kuch hai usse duniya jalti hain ,
aapke pas hum hain ,
jisse pane ko duniya tarsti hain.
Ajeeb Zindagi
hothon par muskurahtein ,
dilon mein gham hain
kitni ajeeb hai ye zindagi
jise jeete hum hain
ik taraf haseen nazare
to dusri aur khaufnak manzar hain
apne hi apno ki peeth mein
khopte khanjar hain.
JATE HUYE LOGON KO PUKARA NAHI KARTE
JATE HUYE LOGON KO PUKARA NAHI KARTE
JO APNE HO UNHEIN BESAHARA NAHI KARTE
DEKH LO UNKO NIGAH BHAR KE LEKIN
YUN QADAM QADAM PE RO KAR ISHARA NAHI KARTE
AAJ BARSON BAAD SAJI HAI WOH KISI AUR KE LIYE
WAISE TO ROZ ROZ HUM BHI KUDH KO SANWARA NAHI KARTE
US SHAKS NE VAADA KIYA THA HUMSE KISI ROZ
AISE TO HUM BHI KISI KO YAAD RAKHNE KA TAMASHA NAHI KARTE
SUNA HAI YEH ISHQ KA ROG DEEMAK KI TARAH CHAAT JATA HAI
ISI LIYE TO AB HUM IS SE YARANA NAHI KARTE
Umeed Na Rakh Zalimo Se
dil todne walo se
dil jodne ki umeed mat rakna
A dost aise logo se
wafaon ki umeed mat rakna
Ansoo
Ansoo her khushi or ghum mein insaan ka saath detein hein,
Ansoo bahane se dil ka boejh halka hota hai,
Ansoo khushi ke moqe per bhi nikle ate hein or khshi ka izhaar karte hein,
Ansoo dost bichRne per ankhoun se moteoun ki tarah behne lagte hein,
Ansoo se pyar karo kiun ke yeh bin mange mil jate hein.
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home