Urdu Shayari - Sad Shayari - Love Shayari and so on

Urdu Shayari - Sad Shayari - Love Shayari

Shayri Love Shayari Funny Shayari Birthday Shayari Shero Shayari Friendship Shayari Sad Shayari Hindi Shayari SMS Shayari.

Saturday, February 28, 2009

Sad shayari

Pari Se Pyaar

Yeh aashiq unke shayad kabil na tha
Is aashiq me shayad woh dil na tha
Yeh pagal bhi pari se pyaar kar baitha
Jo kabhi bhi use haasil na tha

Jab Uthe Arthi Meri To

Ayegi wo suhani raat
meri arthi ke sath jayegi
Teri har baat
Jab uthe arti meri
To nazre jhuka lena
Jab main na rahu is duniya me
to Kisi aur se dil laga lena

Bich Safar Me Chhoda

Jab chaha tab rishta joda
Jab chaha tab rishta toda
Bebas aur masoom ko lake
Bich safar me chhoda

Tera Naam

Khwaab aankhon mein tha

par sabko dikhaya na gaya
Lab pe ek naam tha
Jubaan pe kabhi layaa na gaya
Range the jigar se mere
usne apne haath
Par heena se meri
Hatheli ko sajaaya na gaya

Wednesday, February 25, 2009

Nature shayari

Jisse Pane Ko Duniya Tarsti Hain

jiske paas kuch nahi uspe duniya hasti hain ,
jiske pas sab kuch hai usse duniya jalti hain ,
aapke pas hum hain ,
jisse pane ko duniya tarsti hain.

Ajeeb Zindagi


hothon par muskurahtein ,
dilon mein gham hain
kitni ajeeb hai ye zindagi
jise jeete hum hain
ik taraf haseen nazare
to dusri aur khaufnak manzar hain
apne hi apno ki peeth mein
khopte khanjar hain.

JATE HUYE LOGON KO PUKARA NAHI KARTE

JATE HUYE LOGON KO PUKARA NAHI KARTE

JO APNE HO UNHEIN BESAHARA NAHI KARTE
DEKH LO UNKO NIGAH BHAR KE LEKIN
YUN QADAM QADAM PE RO KAR ISHARA NAHI KARTE
AAJ BARSON BAAD SAJI HAI WOH KISI AUR KE LIYE
WAISE TO ROZ ROZ HUM BHI KUDH KO SANWARA NAHI KARTE
US SHAKS NE VAADA KIYA THA HUMSE KISI ROZ
AISE TO HUM BHI KISI KO YAAD RAKHNE KA TAMASHA NAHI KARTE
SUNA HAI YEH ISHQ KA ROG DEEMAK KI TARAH CHAAT JATA HAI
ISI LIYE TO AB HUM IS SE YARANA NAHI KARTE

Umeed Na Rakh Zalimo Se

dil todne walo se

dil jodne ki umeed mat rakna
A dost aise logo se
wafaon ki umeed mat rakna

Ansoo

Ansoo her khushi or ghum mein insaan ka saath detein hein,

Ansoo bahane se dil ka boejh halka hota hai,
Ansoo khushi ke moqe per bhi nikle ate hein or khshi ka izhaar karte hein,
Ansoo dost bichRne per ankhoun se moteoun ki tarah behne lagte hein,
Ansoo se pyar karo kiun ke yeh bin mange mil jate hein.

Sms shayari

WADIYON SE SURAJ

WADIYON SE SURAJ NIKAL AYA HAI
FIZAON MEIN NAYA RANG CHHAYA HAI
KHAMOSH KYUN HO AAP AB TO MUSKURAO
GOOD MORNING KEHNE HUMARA SMS AYA HAI

Zindagi Mein Hamesha

Zindagi mein hamesha muskurate raho
Hasna zindagi ki zarorat hai
Zindagi jio is andaz mein
ke tumhe dekhkar sab kahein
Zindagi kitni Khoobsurat hai

SMS KA INTEZAR

Ghanto baithe rehte hai hum
ek hi nazara dekha karte hai hum
kisi ka intezar karte hai hum
log kehte hai pagal ho gaya hai ye
par unko kya pata aapke sms ka
intezar kiya karte hai hum

Bhej Ke SMS

Bhej ke SMS humne aapko yaad kiya
Phir na kehna humne aapko nazar andaaz kiya
Na shikwa na koi bahana hoga
Is sms ki kasam aapko abhi ke abhi muskurana hoga

Mujhse Miltay Hue

mujhse miltay hue ye baat bhi sochi hoti!
main tere dil mein sama sakta hoon, dhadkan ki tarah

Monday, February 23, 2009

Bewafai shayari

Judaai

ye aansu meri judaai ke nahi
judaai me bhi teri yaad ke hai
ye yaad meri tanhaee ki nahi
tanhaee me bhi tere intezaar ke hai
ye intezaar meri aankhon ka nahi
raste pe tiki nazron me Aansu ka hai
aur ye aansu meri judaai ke nahi
judaai me bhi teri yaad ke hai


DIL SE KHELNA

Dil se khelna hame aata nahi

isliye ishq ki baaji ham haar gaye
shayad meri zindagi se bahut pyaar tha unhe
isliye mujhe zinda hi maar gaye


Hum Jalte Hain Unki Judai Mein

kis tarah wo juda huye hain

hum nahi keh sakte hain
bas unki hi judai mein
hum to jalte rehte hain


Behte Huye Paani Ko Rokne Me

Behte Huye Paani Ko Rokne Me

Ham Khud Beh Gaye
Wo Hamare Ham-Rah Banenge
Is Ummid Me Ham Tanha Reh Gaye
Par Karte Bhi Kya Ham Iske Siwa
Unki Chahat Ki Aarzoo Liye
Ham Har Dard Seh Gaye


Khudai

pyar karke teri bewafaii dekh li

jahan ki dard bhari khudai dekh li
tujhe pana chaha ye mumkin na tha
tujhse bichhad ke ye judai dekh li
dard bahut gehra hai saha nahin jata
deke tujhe payar ki duhai dekh li
tu khamosh khadi rahi mera ashiyan ujad gaya
tu phikar na kar maine sapne hi sahi
par is duniya se bidai dekh li

Friendship shayari

Anjana

Dosti ki hai tum se
toh phir se jeene ki Tammanna jaag uthi hai
seh rahe the najane kitne ghamo sitam
un sab ko bhulane ki baat aa chuki hai
jaagi hai ye aankhe najane kitne arse se
ab Aaram se soone ki Raatein aa chuki hai


Dost Apni Ruh Ko Banao

Main ye nahi kehta ki dost mat banao
Par apni us dosti mein khud ko naa bhul jao
Mil jayega dhoka jaane kis raah pe
Isliye ae dost, dost apni ruh ko banao


Bhhegi Aankhon Se Muskurane Me Maza Aur Hai

Bheegi aankhon se muskurane me mazaa aur hai
hanste hanste palkein bhigaane me mazaa aur hai
baat kehke to koi bhi samajh leta hai
par khamoshi koi samjhe to mazaa aur hai


Hum Apni Dosti Ko

Hum apni Dosti ko yaado me sajayenge
Door rehkar bhi band ankho me nazar ayenge
Hum koi waqt nahi jo beet jaayenge
Jab yaad karoge tab chale aayenge


Ummid Aisi Ho

Ummid aisi ho jo jeene ko majboor kare
raah aisi ho jo chanle ko majboor kare
Mehak kam na ho kabhi apni dosti ki
dosti aisi ho jo milne ko majboor kare

Thursday, February 19, 2009

Funny shayari

Tere chehre ko dekh ke makhboot ho gaya hai
Tujhe chahnaa hamara naasoot ho gaya hai
Kisi ke ishq me marne ka iraada mazboot ho gaya
Hamara janaaza hamare pyaar ka saboot ho gaya hai
Matt sochna qabr me jaake yeh shayar sukoot ho gaya hai

Kaash tujhe na payaa hota
to aaj khone ki naubat na aati
Kaash teri khushiyo me na shaamil hota
to aaj gam se ye suhbat na aati
Kaash tujhe dekh ke na jiyaa hota
to aaj maut ki raghbat na aati
Kaash tujhe na dekha hota
to aaj marne ki naubat na aati

Tera diya huya dard, dard nahi
raghbat ho gai hai
Tera yoon aashiqo ko dard dena
teri hiddat ho gai hai
Yeh naafiz-e-zehmat ki humme
aadat ho gai hai
Tera khanjar dil me se naa nikaale
muddat ho gai hai

Khastah khastah
bikhar gaya yeh dil
Sar basar zindagi me
gum ho gaya daakhil
Gum ke saath mehfil-e-sayari me
ab ho gaya shaamil
Maut ko gale lagane ke liye
shayad ab ho gaya kaabil

Mere khuda bas tu itna reham kar de
Dil ye mera tu pathar kar de
seh na payenge hum yaar ki judaai
Uske rukhsat se pehle mujko dafan kar de

Love shayari

Ik Pal Ki Duri Hum Seh Nahi Paate
Bin Tumhare Kaise Dur Reh Payenge
Kya Aapko Lagta Hai Ki Hum Aapke Bin Ji Payenge
Are Itni Karte Hain Hum Mohabbat Aapse
Ki Aapse Zara Sa Dur Hote Hi Hum Mar Jayenge


Tu sirf tasawwur hi nahi
haqeeqat hai meri
Tu sirf zafar hi nahi
taqat hai meri
Tu sirf sarwat hi nahi
liyaaqat hai meri
Tu sirf ilm hi nahi
hizaaqat hai meri


dewana hoon main us ki chahat mein
begaana hoon main us ki chahat mein
shab-wa-roz ka ilm nahi ab mujh ko
awara ho gaya hoon main us ki chahat mein


Ye pal hai izhar ka
Ye pal hai ikrar ka
Ye pal hai sare bandhan tod kar
sirf pyar ka sirf pyar ka


Raat ki tanhaiyon mein jab main akela hota hoon
To chaand se baatein karta hoon
Mil jaati hai teri har khabar mujhe
Main taaro se keh deta hoon
Tera aur mera rishta kuch ajeeb hai
Tum saans waha lete ho
main mehsuus yahan kar leta hoon

Wednesday, February 18, 2009

Qabr Me Sukoot

Tere chehre ko dekh ke makhboot ho gaya hai
Tujhe chahnaa hamara naasoot ho gaya hai
Kisi ke ishq me marne ka iraada mazboot ho gaya
Hamara janaaza hamare pyaar ka saboot ho gaya hai
Matt sochna qabr me jaake yeh shayar sukoot ho gaya hai

Marne Ki Naubat

Kaash tujhe na payaa hota
to aaj khone ki naubat na aati
Kaash teri khushiyo me na shaamil hota
to aaj gam se ye suhbat na aati
Kaash tujhe dekh ke na jiyaa hota
to aaj maut ki raghbat na aati
Kaash tujhe na dekha hota
to aaj marne ki naubat na aati

Zeenat-e-jism

Hasrat hai tere saaye me is zindagi ko pura karoo
Hasrat hai teri ziyaarat me is bandagi ko pura karoo
Hasrat hai teri baahon me is dillagi ko pura karoo
Hasrat hai teri zeenat-e-jism se is tishnagi ko pura karoo

Saturday, February 14, 2009

Dil Se Vida

Hum nahi kar sakte aapko is dil se vida
Na jane kya hai humare pyar ka vada
Pyar karte rahenge hum aapse sada
Chahe aa jaye apne beech ab khuda

Dil Pe Aaj

Dil pe aaj yaadon ka pehra hai
Na jaane waqt kyun thehra-thehra hai
Sochta hoon tod du in zanjeero ko
Par aata har baar khayal tera hai

Aye Hasin Tere Lakho Diwane

Aye hasin tere lakho diwane
tu kise apna mehboob mane
tujhe dekh kar
Mai bhi bana tera diwana
Par tune meri mohbbat ko
na jana na pehchana
Ab zindagi me reh gayi ek hi aas
Na rehna tu kabhi udas
Bas karna ek sache sathi ki talash

AAP HUMARA EK EHSAS HAI

AAP HAMARA EK EHSAS HAI
DUR REHKAR BHI HAMARE PAAS HAI
AAPNE MUJH PAR KYA JADOO KAR DIYA
AAPKO CHHOD KAR SARI DUNIYA LAGATI BAKWAS HAI

YE PAGLA SIRF TUMSE MOHABBAT KARTA HAI

TUJHE SURO KA RAG KAHOON
YA APNI DIL KI AAWAZ KAHOON
TUJHE MOHABBAT KA BANA HUYA TAJ KAHOON
YA APNE DIL KA JAZBAT KAHOON
TUJHE KUCHH BHI KAHOON WO KAM HAI
TUJHE PANE KI JID ME
MERI AANKHE NAM HAI
NA JANE MUJHE KYA GAM HAI
TERI YADO KE SAHARE JI RAHA HOON
WO KYA KAM HAI
NA JANE YE DIL
TUJH SE KEHNE SE KYON DARTA HAI
YE PAGLA SIRF TUMSE MOHABBAT KARTA HAI
SIRF TUMSE MOHBBAT KARTA HAI

Wednesday, February 11, 2009

Gam Na Kar

gam na kar is duniya se
na koi kisika hai
daga wahi deta hai
hame jis pe bharosa hai

Khudai

pyar karke teri bewafaii dekh li
jahan ki dard bhari khudai dekh li
tujhe pana chaha ye mumkin na tha
tujhse bichhad ke ye judai dekh li
dard bahut gehra hai saha nahin jata
deke tujhe payar ki duhai dekh li
tu khamosh khadi rahi mera ashiyan ujad gaya
tu phikar na kar maine sapne hi sahi
par is duniya se bidai dekh li

Kabhi Kabhi Yeh Dil zarur Rota

Kabhi kabhi ye dil zaroor rota hai
jab koi apna mil kar nazron se door hota hai
kyun roti hai kambakht yeh ankhe
kyun ki dil se jayada inka hi kasoor hota hai

Tuesday, February 10, 2009

Thukra Dena

Shayari khatm hone ko aai hai
nai yeh ibtidaa hai
Unka humme thukra hi dena zindagi hai
nai hamari ibtilaa hai
Sabko thukra dena hi shaayad unki adaa hai
Unka chahera hi hamari siyaah zindagi me sulah hai

Zakhm Ek Gehra

Raat ke andhere me, is dilke ek kone me
nazar aata hai aaj bhi wahi chehra
Is nafs ko, is jigar me, is rooh ko jo de jata hai
Aaj bhi har lehza har lamha zakhm ek gahera

Maujood Hai

Un raho pe hum nahi chal sakte
jinke us paar tu maujood hai
Hamara safar hamari manzil
tere kaaran mehdood hai
Tere liye hum unme se hai
jo tere mehsood hai
Tu hume kya chahegi
nahi hum tere wadood hai
Nahi mil sakenge hum
jo sadiyo se itne saare hudood hai

Dil Se Vida

Hum nahi kar sakte aapko is dil se vida
Na jane kya hai humare pyar ka vada
Pyar karte rahenge hum aapse sada
Chahe aa jaye apne beech ab khuda

Thursday, February 5, 2009

Rusvayi Ki Dastaan

Dil toh hoga par na hogi usme jaan
Saanse toh hogi par na hoga armaan
Hum rahenge yahi par na hoga aashiyaan
Jabse humne likh di hai rusvayi ki daastaan

Teri Yaad Me

jeena hai kya teri yaad me
marna nahin teri judai me
hum to shayad mar kar bhi rahe hai
warna hum kabhi rote nahin teri judai me

haan sach hai hum bhi roya karte hain
tanhaiyo me tujhe milne ko tadapte hain
mana bewafi kismat ne ki hai
par kya khata thi meri ki aaj bhi teri yaad me rote hain

na raha sath mere kuchh teri yaad ke siva
ab karein bhi kya is baat ke siva
zindagi bhar ke liye tumhe apna maan chuke hain
ab mangoo bhi khuda se kya tere pyar ke siva


>

Developed by: Mohammad Furqan