Urdu Shayari - Sad Shayari - Love Shayari and so on
Urdu Shayari - Sad Shayari - Love Shayari
Shayri Love Shayari Funny Shayari Birthday Shayari Shero Shayari Friendship Shayari Sad Shayari Hindi Shayari SMS Shayari.
Friday, March 13, 2009
Love shayari
Woh Mera Ho Jo
Woh Mera Ho Jo Nigahon Mein Haya Rakhta Ho Umr Bhar Saath Chale Azm-e-Wafa Rakhta Ho Naaz Uske Na Uthaaon To Shikayat Na Kare Gham Uthake Bhi Hansne Ki Ada Rakhta Ho Na Wo Farishta Ho Na Farishton Jaisa Ho Mujhko Talash Hai Uski Jo Mere Jaisa Ho
Aapki Chahat
Apne armaano ko kabhi jhukne nahi denge Dil ki hasrat ko kabhi tootne nahi denge Aap ki chahat hi kaamyabi hai hamari So, aapko kabhi roothne nahi denge
Ishq Tujhse Karta Hoon
Ishq tujhse karta hoon main zindagi se zyada Main darta nahi maut se teri judaii se zyada Chahe to aazmale mujhe kisi aur se zyada Meri zindagi me kuch nahi teri mohabbat se zyada
YEH MERI SHAYARI NAHI
YEH MERI SHAYARI NAHI YEH TO MERE KUCH HASEEN PAL HAIN JO KABHI THE AAJ LEKIN AAJ YEH KAL HAIN
Is Duniya Me Kaun
IS DUNIYA MEIN KAUN, KAB, KAHAN KISI KE SATH REH PATA HAI JO HOTA HAI DIL KE KAREEB JITNA UTNI HI DOOR CHALA JATA HAI
Har zakhm ko seene mein liye firte hai Har dard dil mein diye banke jalte hai Har alfaz mein gum ka andhera hai Aur raat ke baad bhi na yaha savera hai
Dard
Hum dard jheelne se nahi darte Per us dard ke khatam hone ki koi aas to ho Dard chahe kitna bhi dardnaak ho Par dard dene wale ko uska ehsaas to ho
Kaun Kisko Dil Mein Jagah Deta Hai
Kaun kisko dil mein jagah deta hai Ped bhi sukhe patte gira deta hai Wakif hain hum duniya ke riwazon se Dil bhar jaye to har koi bhula deta hai
Ab Teri Yaad Se
Ab teri yaad se wehshat nahin hoti mujh ko Zakham khulte hain aziyat nahin hoti mujh ko Ab koi aye chala jaye main khush rehta hoon Ab kisi shakhs ki aadat nahin hoti mujh ko Aise badla hoon tere sheher ka pani pee kar Jhoot bolun to nadamat nahin hoti mujh ko Ho amanat mein khayanat so kissi ki khatir koi marta hai to hairat nahin hoti mujh ko Itna masroof hun jeene ki hawas mein Mohsin Saans lene ki bhi fursat nahin hoti mujh ko
Tumbin Koi Ghazal
chhin gayi hai jabse tera naam lene ki ijazat likhte hai kuch bhi to ankhe nam ho jati hai chod diya ab humne likhna kya kare tumbin koi ghazal banna hi nahi chahti hai
Ke jisse dil chahe uss pe mar jaane ko dil chahta hai Ke uss ke aansoo pi jaane ko dil chahta hai Ke uss ke har ghum ko mita dene ko dil chahta hai Ke uss ko har pal muskurata hua dekhne ko dil chahta hai Ke uss par zindagani luta dene ko dil chahta hai? Ke uss ka haath pakar uda le jaane ko dil chahta hai Ke uss ki aankhon mein kho jaane ko dil chahta hai Ke uss ki pyaari pyaari baaton ko her pal sunne ko dil chahta ha Ke uss ko har khushi dene ko dil chahta hai Ke uss ko dil mein chhupa lene ko dil chahta hai Ke uss ke saath jeena to kya uss ke saath mar jaane ko dil chahta hai Kya pyaar mein aisa hota hai?
Hontho Ke Khilne Se
Hontho ke khilne se banti hai muskurahat Dilo ke milne se hoti hai mohabbat Yaadon ke aane se badti hai chahat Aur aapke saath hone se puri hoti hai saari hasrat
Kahan
Kahan koi aisa mila jispe dil luta dete har ek ne dhoka diya kis-kisko bhula dete apne dil ka dard dil hi mein dabaye rakhe hain karte bayan to mehfil ko rula dete
Unki Aankon Ka Kaajal
Jitna bhi bachna chahoo doob marta hoon Yeh tere nayan hai ya koi majdhaar Dil pe waar karti hai, ha dil pe, Yeh tere aankon ka kajal hai ya koi talwaar
Kabhi Yeh To Kabhi Woh
Kabhi sehar ka shor hai To kabhi shab ki kamoshi Kabhi kuch khone ka gam hai To kabhi kuch paane ki khushi Kabhi sabnam ka ek katraa hai To kabhi daryia Kabhi na haasil hua maksad hai To kabhi saaree duniya
Hamara kalaam hi hamari majnoon ki gawahee hai Aapkee yaadein hamari sthir zindagi me aandhee hai Humara iklaaz unke liye kuch aur nahi humari gustaakhee hai Yeh isq-e-ibaadat hame hasil nahi jo yak rukhee hai
UMMID KHUSHION KI
Hogi kabhi to ek din khushian bhi mere sath Ye soch ke main sab kuch bhulata chala gaya Ye shaam jo dhali to savera bhi aaye ga Ye soch ke main khushian manata chala gaya Sara jahan hai mera aur main hun is jahan ka Bas dil se dil sabhi ka milata chala gaya Kudrat ne kya dikhaya karamat zindagi me Aashique bana ke mujh ko rulata chala gaya Chaha tha batane ko dastan zindagi ka Koi ro ro ke apni haalat sunata chala gaya Mayekhane ja ke dekha rote huye logo ko Hans hans ke yahi baat batata chala gaya Mehfil bhi ajnabi thi har shakhs ki tarah Ye soch ke main khud ko hansata chala gaya
KHUSHI MILI HASS NA SAKE
KHUSHI MILI HASS NA SAKE GHAM MILA RO NA SAKE ZINDAGI KA YEHI DASTOOR HAI JISE CHAHA USE PAA NA SAKE AUR JISE PAYA USE CHAH NA SAKE
Zindagi Ek Mout Hai
zindagi ek mout hai par koi mout sa nahi mout bhi ek zindagi hai par koi zindagi sa nahi
Mera Bhi Sathi Ho
hasi thami hai in aankho mein nami ki traha mehakti thi jo gulsan mein kali ki traha yu to koi aata nahi is viraan chaman mein ye kiski parchai hai kuch meri hi traha yu to dard ka rista bahut gehra hai par yaadien bhi ek kadwa sach hai zindgi ki traha wo aaya or cahla gaya sab kuch lekar lipti rah gayi rooh badan par ajanbi ki traha kise dhundti hai is duni-e-dast mein tanha najar koi sathi ho mera bhi KHAMOSHI ki traha
Pyar ki kashti mein sawar do guldaste Saath khelte hai saath haste Khuda chahe bhi to inhe alag nahi kar sakta Kyuki manzil payenge zaroor ye ek din Chahe ho hazar raste
Jeene Ka Sach
thokar khakar gungunana zindagi hai gum paakar muskurana zindagi hai sukh ke saath jiye to kya jiye gum bhulakar jashn manana zindagi hai
ISHQ KARNE WALE
ISHQ KARNE WALE KO DEEWANA KEH DIYA SHAMA PAR JALNE WALE KO PARWANA KEH DIYA MOHABBBAT KO PATTHAR KE NEECHE DAFNAYA AUR USE TAJ MAHAL KEH DIYA
Mauka Hai To
Mauka hai to machal jayiye mauka hai to machal jayiye thoda sambhaliye thoda fisal jayiye moti gali na mile to patli gali se nikal jayiye mere sher aapke roobaroo thoda to behal jayiye ek halki si hasi mein pighal jayiye
Mombatti
Mombatti bhi admi ki tarah hoti hai Mombatti bhi admi ki tarah hoti hai wah bhi apna chmakta hua chehra dikha kar kinare se roti hai! dekho is mombatti ko aur maan lo mera kehna kabhi bhi is dukh ke andar maat rehna nahi to sab jal jayega sab gal jayega bina teri anumati ke Sab badal jayega