Urdu Shayari - Sad Shayari - Love Shayari and so on

Urdu Shayari - Sad Shayari - Love Shayari

Shayri Love Shayari Funny Shayari Birthday Shayari Shero Shayari Friendship Shayari Sad Shayari Hindi Shayari SMS Shayari.

Wednesday, March 11, 2009

Romantic shayari

Kya Pyaar Mein Aisa Hota Hai?

Ke jisse dil chahe uss pe mar jaane ko dil chahta hai
Ke uss ke aansoo pi jaane ko dil chahta hai
Ke uss ke har ghum ko mita dene ko dil chahta hai
Ke uss ko har pal muskurata hua dekhne ko dil chahta hai
Ke uss par zindagani luta dene ko dil chahta hai?
Ke uss ka haath pakar uda le jaane ko dil chahta hai
Ke uss ki aankhon mein kho jaane ko dil chahta hai
Ke uss ki pyaari pyaari baaton ko her pal sunne ko dil chahta ha
Ke uss ko har khushi dene ko dil chahta hai
Ke uss ko dil mein chhupa lene ko dil chahta hai
Ke uss ke saath jeena to kya uss ke saath mar jaane ko dil chahta hai
Kya pyaar mein aisa hota hai?


Hontho Ke Khilne Se

Hontho ke khilne se banti hai muskurahat

Dilo ke milne se hoti hai mohabbat
Yaadon ke aane se badti hai chahat
Aur aapke saath hone se puri hoti hai saari hasrat


Kahan

Kahan koi aisa mila jispe dil luta dete

har ek ne dhoka diya kis-kisko bhula dete
apne dil ka dard dil hi mein dabaye rakhe hain
karte bayan to mehfil ko rula dete


Unki Aankon Ka Kaajal

Jitna bhi bachna chahoo doob marta hoon

Yeh tere nayan hai ya koi majdhaar
Dil pe waar karti hai, ha dil pe,
Yeh tere aankon ka kajal hai ya koi talwaar


Kabhi Yeh To Kabhi Woh

Kabhi sehar ka shor hai

To kabhi shab ki kamoshi
Kabhi kuch khone ka gam hai
To kabhi kuch paane ki khushi
Kabhi sabnam ka ek katraa hai
To kabhi daryia
Kabhi na haasil hua maksad hai
To kabhi saaree duniya



1 Comments:

At August 7, 2009 at 10:37 AM , Blogger Unknown said...

I have visited your blog for the first time and found it a well organized blog. Keep sharing nice stuff. Following are my blogs. You can join me there . . .

Indian & English MP4 Movies
IT Mela | Pakistan's Largest Urdu Forum
Full Softwares Downloads - Download For All

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home


>

Developed by: Mohammad Furqan