Sad shayari
Raat Ke Baad Bhi Na Savera
Har zakhm ko seene mein liye firte hai
Har dard dil mein diye banke jalte hai
Har alfaz mein gum ka andhera hai
Aur raat ke baad bhi na yaha savera hai
Dard
Hum dard jheelne se nahi darte
Per us dard ke khatam hone ki koi aas to ho
Dard chahe kitna bhi dardnaak ho
Par dard dene wale ko uska ehsaas to ho
Kaun Kisko Dil Mein Jagah Deta Hai
Kaun kisko dil mein jagah deta hai
Ped bhi sukhe patte gira deta hai
Wakif hain hum duniya ke riwazon se
Dil bhar jaye to har koi bhula deta hai
Ab Teri Yaad Se
Ab teri yaad se wehshat nahin hoti mujh ko
Zakham khulte hain aziyat nahin hoti mujh ko
Ab koi aye chala jaye main khush rehta hoon
Ab kisi shakhs ki aadat nahin hoti mujh ko
Aise badla hoon tere sheher ka pani pee kar
Jhoot bolun to nadamat nahin hoti mujh ko
Ho amanat mein khayanat so kissi ki khatir
koi marta hai to hairat nahin hoti mujh ko
Itna masroof hun jeene ki hawas mein Mohsin
Saans lene ki bhi fursat nahin hoti mujh ko
Tumbin Koi Ghazal
chhin gayi hai jabse tera naam lene ki ijazat likhte hai kuch bhi to ankhe nam ho jati hai
chod diya ab humne likhna kya kare tumbin
koi ghazal banna hi nahi chahti hai
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home